AARTI
SHRI SADGURU MAHARAJ KI |
| |
|| Aarti Shri Sadguru Maharaj ki || |
| |
Om jay Shri Gurudeva
Swami jay Shri Gurudeva,
Tumhari sharan mein aakar
Saadaa karoon sewa.
Brahma Vishnoo Sadaashiv
Tum Sadguru mere,
Tumhare sharan mein aakar
Bhagya jage mere.
Deen dukheen ke sambal
Tum sabke daataa,
Tumhari daya ka swami
Par nahin paata.
Tum daasan ke thakur
Tum rakshak data,
Tumhare roop anekoon
Kahaa nahin jaata.
Tumhara simran karke
Shakti mile data
Tumhare darshan karke
Paap utar jaataa.
Tum Narayan swami
Tumhin Isht deva,
Tumhari leela niyaari
Tum-tum devan deva.
Sadguru dev ki aarti
Jo koi jan gave,
Kahe daasan ko daasaa
Sukh sampati pave. |
|
| |