DOHA
Dayaa kari Gurudev ne dil se kiyaa jo yaad,
Raksha karne aa gaye daas ki deeena naath.
Jinke charan mahaasukhdayee jinki sharan mahaa phaldayee.
Jinka simran such ka dhaam aise Sadguru ko parnaam.
Kinkee mahima kahi na jaaye jo dinan ke sadaa sahaay.
Jinke darshan ka partaap har le sab dukh aur santaap.
Jinki nazar mein jo bhi aayaa usne apna
dosh kataaya.
Jinko kahte aughar daani unki ye duniya diwani.
Jinka ooncha hai darbaaar jo dason ke hai aadhaar.
Rank jahan raja ban jaate aisa who darbar lagaate.
Bhaktee mein shaktee hai bhai baar baar
yeh baat bataayi.
Khel naam kaa hi sara hai Sadguru naam tera piyara hai.
Maat pitta aur tum hin paalak hum sab tere daas va baalak.
Tumhi mitr aur tumhi sakha ho ham daasan par saada daaya
ho.
Naam let ban jaata kaaraj naam sadaa detaa
hai dheeraj.
Maanavtaa kaa path padhaate sadmaarag par saada chalate.
Jisne apnaa maan liya hai usne tumko jaan liyaa hai.
Jitna jaana utnaa kaafi bhool chool par denaa maafi.
Bhaktan kaa tum maan barhate rote aate haste
jaate.
Jinki sangat mein sab dhaam aise data ko parnaam.
Unkaa hotaa bedaa paar simran hai jinkaa aadhaar.
Jisne naam ki mahima jaani uskaa nahi raha koie saani.
Sab santoon kaa hai farmaan naam ke peeche
hai Bhagwan.
Guru naam hai kavaach hamaara kiya kar lega yeh sansaara.
Naam hi raksha kavach kahayee naam hi beigre kaam banaaye.
Sadguru kavach jo pade padaaye vaa pe vipat kabhi naa aaaye.
DOHA
Jay Gurudev kaa jaap hi sab mantroon kaa mool,
"Paras" Satguru sadaa rahe daasoon par anukool.
|