Param pavitra sthaan hai siddhdaata ka dham,
Saare tirath kar liye lekar Guru kaa nam.
Guru charnan ki dhool bhi mile agar naadaan,
Daur ke sar pe dhaar le yaa ko nahin bakhaan.
Brahm astra ki kaat hai Guru kirpaa bekaat,
Guru kirpaa jaa par bhaie waa ki ban gaie
baat.
Ab age naa vyarth ho saanson kaa vyopar,
Simar naam Guru dev kaa jo jag ke aadhaar.
Guru bachaavnhaar hai Guru hi bakshanhaar,
Jaa ke sir par haath hai vaa ko beraa paar.
Jahan samarpan bhaav hai vahaan Guru aashish,
Bagiyaa sewa dharm ki premaansoovan se seench. |